Friday, October 5, 2007

MAIN MOHABBAT HOON - BY RAMU GARG

Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee,
Jo lehron se mit jaati hay,
Main baarish ki barasti boond nahee,
Jo baras ker tham jaati hay.

Main khwab nahee,
Jisey dekha aur bhula diya,
Main shama nahee,
Jisey phoonka aur bujha diya.

Main hawa ka jhonka nahee,
Jo aaya aur guzar gaya,
Main chand bhi nahee,
Jo raat k baad dhal jaye.

Main to woh ahsaas hoon,
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay,
Main to woh rang hoon,
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay.

Main woh geet hoon,
Jo teray labon se juda na hoga,
Main to woh parwaana hoon,
Jo jalta rahayga magar fana na hoga,
Khwab,ibaarat,hawa ki tarah
Chand,boond,shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahee
Kyunkay Mai to mohabbat hoon.

By Ramu Garg

JOIN US @
http://www.groups.yahoo.com/group/ansh2007/join

No comments: