Friday, October 5, 2007

Mere Kuch Palo Ke Hamsafar - BY SHAILESHNI CHAND




Yu to hum chahte the aapko aor bahot chahte the
Par aesa humne kya kiya ki aap naraaz ho gaye
Hamne to bas aap ki zindagi ke kuch lamhe maange the
Aur aap hai ki hamare zindagi se hi ruswa ho gaye


Aap ne to wade kiye the bahot magar
Kya hua ki hum ko kar diya beghar
Hum aapko bhula denge yeh ho nahi sakta
Ab yeh aap par hai ki aapka kya hai rasta


Aap ne kaha tha ki milenge har roz hum
Yah to sms karenge yah to phone karenge hum
Kiya tha wada ki humse internet pe baat karenge
Par hum kya jaante the ki koi sandesh bhi na aayenge


Accha ab hum kar bhi kya sakte hai
Aap ko yaad karne ke siwa aur kya kar sakte hai
Hame yah pata hai ki aap bewafa nahin magar
Hamse kya khafa hui aap bata dena aye ham safar.



SHAILESHNI CHAND

FIJI ISLANDS

No comments: